Chad’dha Hoowa Tha, Jo Dariya, Utar Gaya Kab Ka

Chad’dha Hoowa Tha, Jo Dariya, Utar Gaya Kab Ka,
Tumhara Chaahne Waala, To Mar Gaya Kab Ka ... !

Na Meri Rooh Meri Hai, Na Mera Jism Mera,
Tera Wajood To, Mujh Mein, Utar Gaya Kab Ka ... !!

Wo Ik Shakhs Jo, Sab Ko, Sambhaale Rakhta Tha,
Tumhain Khabar Hee, Nahi Hai, Bikhar Gaya Kab Ka ... !!!

Tu Jis Ke Waadon Ko, Dil Se, Lagaye Baitha Hai,
Wo Apni Baat Se Pyaare, Mukar Gaya Kab Ka ... !!!!

Mein Ishq Mein, Ro Bhi Chuka Hu, Mar Bhi Chuka Hu,
Hudood-e-Jism Se, Mein To, Guzar Gaya Kab Ka ...

No comments: